Laila duaein kijiye
Marne ke liye jab chale maidan mein akbar
peeche chale girte hue uthte hue sarwar
jab door hua shaah ki aankho'n se wo dilbar
laut aaye kaha madar e akbar se ye rokar
Laila, Laila..
Laila duaein kijiye jeeta rahe akbar
bete ke haq mein maa ki dua radd nahi hoti
Laila duaein kijiye..
1. Rukhsat ki ghadi yaad hai tum bhi to wahi'n thi
akbar ke kaleje se nazar hat-ti nahi thi..(2)
laila hamare laal ka naazuk sa hai seena
seene pe na beta mera khaye koi barchhi
Laila duaein kijiye jeeta rahe akbar
bete ke haq mein maa ki dua radd nahi hoti
Laila duaein kijiye..
2. Is baat pe shabbir ka dil phat-ta hai ghum se
aise to kabhi door na akbar hue hum se..(2)
akbar ko jeeta dekh kar hum jeete rahe hai
akbar ko marta dekh kar mar jayenge hum bhi
Laila duaein kijiye jeeta rahe akbar
bete ke haq mein maa ki dua radd nahi hoti
Laila duaein kijiye..
3. Mai bhool nahi paunga ehsaan tumhara
is aalam e ghurbat mein do tum saath hamara..(2)
akbar mera jawaan aur hum par hai zaeefi
hum se to jawa'n laal ki mayyat na uthegi
Laila duaein kijiye jeeta rahe akbar
bete ke haq mein maa ki dua radd nahi hoti
Laila duaein kijiye..
4. Ab jald dua ke liye haatho'n ko utha lo
aye madar e akbar meri zainab ko bachalo..(2)
athhara saal usne hi akbar ko hai paala
kadiyal jawa'n ki laash wo na dekh sakegi
Laila duaein kijiye jeeta rahe akbar
bete ke haq mein maa ki dua radd nahi hoti
Laila duaein kijiye..
5. Sehre ke sajane ka jo armaan hai laila
armaan hi reh jayega akbar jo na aaya..(2)
akbar ko apne haath se hum dulha banaein
athharwi mannat bhi to humko hai badhani
Laila duaein kijiye jeeta rahe akbar
bete ke haq mein maa ki dua radd nahi hoti
Laila duaein kijiye..
6. Aawaaz yehi aati hai sughra ki watan se
ek bar mila de khuda bhai ko bahan se..(2)
akbar se mil na paye to mar jayegi sughra
maloom hai tumko meri beemar hai beti
Laila duaein kijiye jeeta rahe akbar
bete ke haq mein maa ki dua radd nahi hoti
Laila duaein kijiye..
7. Ye kehte hue laila ne hatho'n ko uthaya
jis tarha se Yaqub ko Yusuf se milaya..(2)
akbar ko ek baar tu sarwar se mila de
shabbir ki ye baat mai ab sun na sakungi
Laila duaein kijiye jeeta rahe akbar
bete ke haq mein maa ki dua radd nahi hoti
Laila duaein kijiye..
8. Laut aaya jo maidan se shabbir ka dilbar
pyaasa hu bohot baap se kehne lage akbar..(2)
paani ki baat aayi to rone lage maula
khaime ki simt dekh kar aawaz yehi di
Laila duaein kijiye jeeta rahe akbar
bete ke haq mein maa ki dua radd nahi hoti
Laila duaein kijiye..
9. Zeeshan o Raza woh jawa'n phir ran ko sidhara
seene pe sina khayi to baba ko pukara..(2)
pohche jawa'n ke paas jab rote hue sarwar
barchhi yehi kehte hue seene se nikali
Laila duaein kijiye jeeta rahe akbar.